Har Gussa kuch kehta hai!
Har gussa kuch kehta hai,
Kabhi dard ka sagar!
Kabhi baichaini,
To Kabhi uske piche, Dar ka saaya rehta hai!

Kabhi thakawat,
Kabhi kuch na kar paane ki mayoosi,
Kabhi jalan,
To Kabhi uske piche sabse aage rehne ka jazba rehta hai!😎

Kabhi sharam,
Kabhi jhuth,
Kabhi galtiyon ki ghabrahat!
To Kabhi uske piche, “Mai hi aisa kyu”, rehta hai!

Kabhi ummeed,
Kabhi nasamjhi,
Kabhi nasamjh aur na samjha pane ki koshish,
To Kabhi, ” koi mujhse pyar nahi karta”, ye rog palta rehta hai!

Ye, gussa bhi ajeeb cheez hai janab!
Khud to bahar nikal jaata hai
Darta hai aur darata hai,
Galat fehmi bhi paida karta hai,
Par uske piche jo anginat sach hai, use chhipaye rehta hai!